Nisaar
December 15, 2007
aye dil-e-naadaaN aye dil-e-naadaaN
aarazoo kyaa hai, justajoo kyaa hai
hum bhataktay haiN, kyuN bhatakatay haiN dashta-o-sehraa meiN
ayesaa lagtaa hai, mauj pyaasee hai apnay daryaa meiN
kaisee uljhan hai, kyuN ye uljhan hai
ek saayaa saa, rubaru kyaa hai
kyaa qayaamat hai, kyaa museebat hai
keh naheeN sakatay, kis kaa aramaaN hai
zindagee jaisay khoyee khoyee hai, hairaaN hairaaN hai
ye zameen chup hai, aasamaaN choop hai
phir ye dhaDkan see chaar su kyaa hai
aye dil-e-naadaaN
ayesee raahoN meiN kitnay kaaNtay haiN
aarazuoN ne har ek dil ko dard baante haiN
kitnay ghaayal haiN, kitanay bismil haiN
is khudaee meiN ek tu kyaa hai.
____________JaN Nisaar Akhter
hijaan
December 10, 2007
Dil hee tou hai
December 7, 2007
Dil hee to hai na sang-o-Khisht dard se bhar na aaye kyon ?
royenge ham hazaar baar, koee hamein sataaye kyon ?
Dair naheen, haram naheen, dar naheen, aastaan naheen
baithe hain rehguzar pe ham, ghair hamein uthaaye kyon ?
Haan wo naheen khuda-parast, jaao wo be-wafa sahee
jisko ho deen-o-dil azeez, uskee galee mein jaaye kyon ?
‘Ghalib’-e-khasta ke baghair kaun se kaam band hain ?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyon ?
________ Ghalib
+ | +
December 5, 2007
Qasmi questions his Creator
December 4, 2007
terii rahmat to musallam hai magar ye to bataa
kaun bijlii ko Khabar detaa hai kaashaanoN kii
Couplet can roughly be translated as,
There’s no doubt in my mind that you are Merciful
but tell me who sends down thunderbolts to ruin our nests(abodes)
_ Ahmed Nadeem Qasmi
Gaze into the serpent’s eyes
December 3, 2007
Dil ke taar
December 1, 2007
Dil ne likhi ek kitaab
her safhe pe likha lafz ‘pyaar’ (safhe–page)
ankh ne dekha ek khaab
tabeer thi jiski fasl-e-bahaar
chun leya hathoN nay phool
aur thay qismat maiN talwoN kay khaar
na chero ab tum dil ke taar
na chero ab tum dil ke taar
Dil doob gaya derya ke paar
hai ankhooN maiN maazi ka ghubaar
ao ab khailaN aisa khail
jis maiN ho na kisi ki haar
na chero ab tum dil ke taar
na chero ab tum dil ke taar.
________hajr


